Flipkart Affiliate Program se paise kaise kamate hai puri jankari hindi me



Aaj ke time me hr koi online paisa kamana chahta hai or aaj ki iss post me, mai apko batane ja raha hu ki aap Flipkart se paise kaise kama sakte hai. Me iss post me apko Flipkart Affiliate program  ke bare me batane ja raha hu.
Dosto aap sab jante hai ke Flipkart ek E-commerce websites hai orr E-commerce ( Online Shopping Website ) me bahut competition hai too aise me lagbag sabhi Popular E-commerce website me apko affiliate program mil jayega.


 > Affiliate program  kya hai
Affiliate program kisi bhi e-commerce website ka commission program hota hai yani iss program ki help se aap kisi bhi e-commerce website ka product ko apne affiliate link se sell krte hai too apko vo website uss product pr 12% tak commision dete hai. Ye commision hr product ke liye alag–alag hota hai.

 > Flipkart Affiliate Program  se paise kaise kamate hai
Flipkart Affiliate program se paise kamane ke liye apko , Flipkart Affiliate program pr apna account banana hoga uske baad aap flipkart ke  kisi bhi product ka Affiliate link le sakte hai orr phir aap uss iss link ko apne Blog, YouTube Channel, Facebook page ya WhatsApp pr logo ko share kr sakte hai. Uske baad agr koi bhi Person apke link se vo Product khareedta hai to apko eske paise milte hai.

 > Flipkart Affiliate Program  pr apna Account Kaise Banate hai
Flipkart Affiliate Program pr account banana ke liye apko niche likhe Steps ko follow krna hoga.
STEP 1 :  Sabse pehle apko iss link ko follow krna hai or Flipkart Affiliate Program ke page pr aa jana hai - https://affiliate.flipkart.com/

STEP 2 :  Ab apko Join Now For Free pr click krna hai.

STEP 3 :  Ab apke samne ek Register form aa jayega apko uss form ko bharna hai.


1.       Iss Box me apko apne E-mail dalni hai.
2.       Phr apko Generate Email OTP pr clik krna hai. Jaise hi aap iss option pr click karege too apke E-mail pr ek Code aayega.
3.       Uss Code ko apko iss Box me likhna hai.
4.       Apko yaha pr apne Country select krna hai ( India +91 ) or phir next box me apna mobile number enter krna hai.
5.       Ab apko yaha bhi Generate Mobile OTP pr click krna hai. Ab apke mobile pr ek Code aayega.
6.       Akpo uss Code/OTP ko yaha Enter krna hai.
7.       Yah pr apko apna koi bhi password chose krna hai.


8.       Ab apna password ko dobara yaha Enter krna hai.
9.       Phir apko I agree to the Flipkart Affiliate program Term and conditions ko Check krna hai
10.   Ab apko Register pr click krna hai.

STEP 4 :  Ab apko yaha pr apne ID/Username select krna hai or Submit pr click krna hai.


STEP 5 :  Ab apko yaha pr apni Email ID  or Password ko Enter krna hai or Sing IN pr click krn ahai.


STEP 6 : yha apko apne Account ke details dalni hai or details ko dalne ke baad apko SAVE Changes pr click krna hai.


STEP 7 :  Ab apko yaha apne Website ya blog ke bare me details dalni hai. Or SAVE Changes pr click krna hai.


STEP 8 :  Ab apko yha pr apne Payments Details Dalni hai. Jisme apke Paise aaye. Or SAVE and Upload pr click krna hai.




Ab Apka Flipkart Affiliate ka Account Create ho gaya hai. Ab aap kisi Bhi flipkart ke Product ka Affiliate link Create kr sakte hai.

 > Flipkart ke kisi bhi product ka Affiliate link kaise banate hai
Ab apko sabse pehle uss product ko search krna hai jiska aap Affiliate link banana chahte hai or phir uss product ka URL link copy kr ley.


Ab apko Apne Flipkart Affiliate Account me jana hai or fir Overview me jana hai. Orr uss link ko Box me Past kr dena hai . or Go pr click krna hai. Ab apko Apne Affiliate Link mil jayega aap usko kahi bhi share kr sakte hai or paise kama sakte hai.


:: You Like ::

Amazon Affiliate program se paise kaise kamate hai


Post a Comment

0 Comments