Backlink kya hote hai | Backlink se website ko google me kaise rank karate hai


Dosto aaj me apke batane jar aha hu ke Backlink kya hai or hum Backlink se apne Website ko kisi bhi search engine me kaise rank kara sakte hai. Or apne website ke rank ko kaise bhada sakte hai.


 > Backlink Kya hai : 
Agr apko koi bhi ek URL link dusre URL link pr le jaye to wo link Backlink hota hai. Backlink kisi bhi Website ko google ya kisi bhi search engine pr rank karane ke liye kaam krta hai.
Backlink do taha ke hote hai 
  • Dofollow Backlink
  • Nofollow Backlink
 Dofollow Backlink kya hai 
Dofollow Backlink ko aap Permanent Backlink bhi keh sakte hai. Ye Backlink apki website pr minimum ek Year tk rehte hai. Dofollow Backlink ko aap Guest Post, Web 2.0 Directory or Dofollow Comments se milte hai. 

 Nofollow Backlink Kya hai 
Nofollow Backlink Social Singnals me aate hai. Yani agr apko kisi bhi social network website se Backlink Mila hai to vo Backlink Nofollow Backlink hai. Nofollow Backlink me Nofollow comment bhi aate hai. Ye backlink apke website pr permanent nahi rehta balki 5-6 Month tak rehta hai. 


 > Apne Website ko Google pr kaise Rank karate hai 
Dosto agr aap apne website ko Google me top rank karana chahate hai to apko apni website ke liyi backlink banane hoge or apko apne website ke liye Dofollow Backlink jayada banane hoge tabhi aap apne blog ke post ko google ki top rank me la sakte hai.

 > Backlink kaise banate hai 
Mai apko bta du ke aap backlink ko free ya paise de kar bna sakte hai. Lakin iss post mai, me apko free backlink banana sikhaoga.
Yaha pr maine apko 3 method ke bare me bataugam, Jisse aap free backlink bana sakte hai. Or Unlimited Baclink bna sakte hai.

#1 – Quality Content likhe 
Agr apko apni website ko google pr achi rank me lana hai to apko apne blog ya website pr achi quality content yani achi or sahi post likhe taki apke visitor ko apke Article padhne me jayada problem na ho Or apko apne article likhte time achey keyword ka use kara chahiye.

#2 – Dusro ke Article pr comment kare
Agr aap apne kisi article ko google pr top rank karana chahate hai to apko dusre website pr comment krne hoge or jab comment form bhar rahe ho to apko ek Website ka option bhi milta hai jaya apko apne website ke bare me batana hota hai too apko vaha pr apko uss article ka URL dalna hai jisko aap google me rank karana chahte ho.

#3 - Guest Post likhe 
Agr apko ek acha or Permanent Backlink banana hai to ye method apke liye best hai. Iss method me aap kisi dusre blog ke liye koi article likh sakte hai or phir wo dusra blogger apne blog pr apka post upload kr leta hai too uss se apke website ka ek bahut acha backlink ban jata hai.
Guest post submitted krne ke liye apko uss website se contact krna hota hai lakin kuch Blogger apne blog me Guest post ka ek alag page bana kr rakh lete hai phir uss page pr koi bhi blogger apna Guest post Upload kr sakta hai.
(Agr aap humko koi Post send krna chahate hai to aap hamare mail ( kaisehelpinfo@gmail.com ) pr send kr sakte hai )

 > Backlink banate time iss bato ko dhayan rakhe  
  • Apne Blog pr original content dale.
  • Apne post ko aasan bhasa me likhe.
  • Achi website or High rank wali website pr hi Guest post de.
  • Top rank vale website pr hi comment kare.
  • Apne post me achi keyword ka use kare.
Dsoto agr apko Backlink ko lekar koi bhi sawal ya tips ho to aap hme comment kr ke jarur bataye. Or agr post achi lagi ho to Like or share jarur kare.
Thank You !



Post a Comment

0 Comments