Hello,
Dosto kya apne Kabhi Socha Hai Ke aap apni website Ke Liye free " Domain name " register kar sakte hain, Ji ha bilkul aap apni website ke Liye free " Domain Name " register kar sakte hain.
Dosto apni Dekha Hoga Sab website aap se domain name ki Rupyee Lati hai, lekin Me Aaj Apko Aisi website ke baare me Batane jaa raha hu Jise aap free domain name Register kr sakte hain.
STEP 1 :
Sabse Pehle apni browser me type kare www.freenom.com
STEP 2 :
Ab apke Samne ek box Opne ho jayega. US box me apko Apna domain name search karna hai.
STEP 3 :
Aur phir aapko " Check Availability " par click karna hai.
STEP 4 :
Uske baad Aap Ke Samne bahut sari free domain name open ho jayenge usme se Kisi Ek Ko select karke " Get it Now " per click kar de
STEP 5 :
Phir aap ka domain name select Ho Jayega, uske baad apko " Checkout " per click karna hai.
STEP 6 :
Us ke baad Aap Ke Samne domain name plan Open ho Jayega, apko domain name ko 12 month ke leye select karna hai. agar aap 12 month Se Jyada dino ke liye domain name register karna chahte h toh aapko Uske kuch paise dene hoge,
Lekin m yehi kahuga k aap 1year(12 months) Free wala plan hi select kre,,
Or Phir apko " Continune " per Click karna hai.
STEP 7 :
Uske baad aap ko yahan par " sign in " karna hai, uske liye aap Facebook or Google Plus ya apni email ID ka use kar skte hai.
STEP 8 :
ab apko yaha par apni details bharni hai, uske baad " Order Now " per click karna hai.
STEP 9 :
Ab apke samne likha aayega " Order Confirmation "
STEP 10 :
Uske baad aap ko " Service " par click krke , " My Domain " par jana hai.
orr ab ap yaha dekh sakte hai ki jo aap ka domain name hai vo successfully register ho gaya hai.
Thanks...You ! @kaisehelp
0 Comments