Wix pr website ko banae ya nhi ? Wix Questions Answer by Kaise Help !

Dosto agar aap Wix ke Website banane ki soch rahe hain to ek bar is post ko Jarur padhen Uske bad hi aap apni Wix pr website ko banae.
Dosto aapane Jadatr Suna Hoga Ki Wix Pr website banana Kafi Aasan hai jo ki bilkul sahi bhi hai Wix per aap Kafi aasani se website banaa sakte hain Yahan per website banana wordpress or blogger se bhi Aasan hai lekin Iske bare Mein Kuchh baten Hain jo aapko pahle Hi Jaane chahie agar aap Wix par apni website ko banana Chahte Hain.
Is post Mein Main aapko Kuch Aise questions ke answer Dunga Jo Wix se related Humse Puche gaye hain

✎ Main Pahle Se Hi domain name khareed Rakha Hai kya mujhe Wix pr website Banani chahie?

Doston agar aap Wix se website banana Chahte Hain To aapko Pahle Se Hi Domain Name nhi kharidna chahie Kyunki Main aapko Bata Du ki Jab aap Wix per apni website ko banaenge to aapko vahan per Koi Na Koi plan ko Jarur select karna hoga Chahe vah free ho Chahe vah paid, agar aap ek acchi professional website banana Chahte Hain To aapko paid plan hi Lena Hoga jismein aapko Ek free domain name Pahle Se Hi Milta Hai.

✎ Wix pr website banane ke liye kya Hamen hosting dekhni padati hai?

Doston mai aapko Bata Dun ki agar aap Wix par apni website ko banate hain to uske liye aapko hosting Nahin kharidni padati, yah blogger Ki Tarah Hi Ek platform Hai Jahan per aap apni website ko Kafi Achi design se sakte hain.

✎ Kya Ham Wix pr ek eCommerce website banaa sakte hain ?



Ji han doston aap bilkul Wix per E-commerce website ko banaa sakte hain aapko Yahan Par Kafi Sare features mil Jaate Hain Jin ki madad se aap ek acchi professional eCommerce website banaa sakte hain.

✎ Wix Mein website banane ke liye sabse Sasta plan kaun sa hai?

 Agar abhi ki Ham Baat Karen to aap Wix website banana Chahte Hain To iske liye sabse Sasta plan 29/month hai.

✎ Wix aur wordpress mein kaun behtar hai ?

Is Sawal ko Ham se Kafi sari user Ne Pucha Hai Maine Aap Ko Sidha jawab Bata Dun ki agar aapko acchi coding ki knowledge hai to aap apni website ko wordpress per hi banae wordpress per aap kafi acchi or Ek professional website banaa sakte hain lekin Agar aapko coding ki Jyada knowledge nahin hai to aap apni website ko starting Mein Wix per banaa sakte hain Jab aap ki acchi erring shuru ho jaaye tab Ek acche developer ke sath Milkar apni website ko wordpress per banaa sakte hain.
Doston Agar aapko Wix ko Lekar koi bhi question Hai To Apne niche comment Mein poochh sakte hain main koshish Karunga ki uska Ek Achcha jawab main aapko is post Mein du.

Post a Comment

0 Comments