Fiverr kya hai ? Fiverr se paise kaise kamate hai ?

Dosto agr aap janna chahte hai ke fiverr kya hai or fiverr se paise kaise kamate hai to app iss post ko last tak jarur padhe. Mai apko iss post me fiverr ki puri jankari dene ja raha hu.

  > Fiverr kya hai  


Fiverr ek Online service market hai jaha pr aap kisi bhi service ko Sell kr sakte hai ya Buy bhi kr sakte hai. Fiverr ki khas baat hai ke yeh sab kuch $5 ka hai. Internet pr bahut log apna work online krvate hai ( Example – Blog Designing, Video Editing, Website Logo ect. ) Agr apko koi bhi kaam aata hai to aap Fiverr pr apna account bana kr paise kama sakte hai. Apko yaha pr ek kaam krne ke Minimum $5 milte hai. Apko fiverr pr kaam milta rehta hai. Aap apne khali time me Fiverr se paise kama sakte hai. Ye Website Student ke liye bahut achi hai. 
Apko sabse pehle iss website pr apna Account open karna hoga.




  > Fiverr pr Account kaise Banate hai 


STEP 1 :  Open Fiverr Website - https://goo.gl/aqq85N 

STEP 2 :  Create Your Account 



Yaha pr apni E-mail ID dale.
Phir Continue pr click kare.
Ab apko apna Username Select krna hai ( Username select krte time aap Space ka use na kare )
Ab apko Apna Password select krna hai ( Password select krte time apko ek Capital Word or ek Number  ko jarur Use krna hai Exapmle – fiverr@123 )
Phir apko Join pr Click krna hai.


STEP 3 : Ab apke E-mail ID pr Fiverr ke ek mail aayegi apko uss mail ko Open krke Account ko Verify krna hai.

  > Fiverr se paise kaise kamate hai 

 STEP 1 :  Fiverr se paise kamane ke liye apko Fiverr pr apni service ya apne kaam ke bare me logo ko batana hoga.




To sabse pehle apko Start Selling pr Click krna hai.

Uske baad apko Select krna hai ke aap kya hai ? yani age aap ek Writer hai to apko i am a writer Select krna hai or agr aap ek designer hai to apko i am a designer select krna hai.

Uske baad apke samne ek Apke samne Start Selling ka option aa jayega apko uss pr click krna hai.
Ab apke samne ek form open ho jayega jaha apko apne or apni service ke bare me details dalni hai.

Availbility – apko yaha pr fiverr ko ye batana hai ke aap fiverr ko Full time use karoge ya Part Time .

Linked Accounts – Agr apka koi social account hai to aap use yaha link kr sakte hai.

Language – yaha apko un language ko select krna hai jo aap jante hai.

Skills – Ab apko yaha ye aap kis topic me Expert hai ya Jo kaam aap kar sakte hai. 

Education – ab apko yaha apne Education ke bare me batana hai.

Certification – Agr apke koi certification  hai to aap usko yaha Add kr skte hai.

Photo – Ab aap yaha apna koi ek Photo laga le.

Description – Ab yaha apko apne bare me Details me batana hoga
Ab apko Continue & Create My First Gig pr click krna hai.

 STEP 2 :  Ab apke samne new page open ho jayega.

GiG Title – Apko yaha pr apne Gig ka title likhna. ( Example - i create a professional logo )

CATEGORY – Apko yaha pr apne Gig title se category select krne hai.

GiG METADATA -  Yaha pr apko apne Gig ka Style or Gig Format Select krna hai.

Search Tag – apko ya pr kuch tag aad karne hai, tag me apko apne title se related word dalne hai.

Ab apko Save & Continue pr click krna hai.

 STEP 3 :  Ab aap Scope & Pricing me aa jayega apko yaha pr apne Price ke bare me jankari dane hai.
orr phir apko Save & Continue pr click krna hai.

 STEP 4 :  Ab yaha apko Apne Gig ke bare me 120 ( minimum ) likhna hai.
orr phir apko Save & Continue pr click krna hai.

 STEP 5 :  Yaha apko apne Buyer ko ye batana hai ke apko unka kaam krne ke liye kya kya chahiye ( yaha        
              pr aap payment na likhe ) Example – Blog Name ect.

 STEP 6 :  Ab apko yaha pr apne  Work ke kuch Photo or Video upload krne hai jo apne khud banaye ho.
orr  apko Save & Continue pr click krna hai.

 STEP 7 :  yaha apko Congratulations! Likha milega , to apko Verify Now pr Click krna hai.
Or ab apko yaha pr apna mobile number Verify krna hai.

Ab apko Apne Gig Publish krna hai – Publish Gig pr Click kr ke.






Ab aap dekhege ke apke ek Gig Create ho gaye hai, aap apne account se orr bhi gig create kr sakte hai. Jab kabhi koi apki service lena chahiga to apko Notification mil jayega.


  > Fiverr se Payment kaise Receive krte hai 

Dosto me apko bta du ke apko fiverr pr koi bhi Payment kare to apko uske minimum $5 milte hai lekin Fiverr usme se 20% yani $1 rakh leta hai or apko $4 deta hai. 

Aap apne Payment ko receive karne ke liye Bank Account ya Paypal Account ka use kr sakte hai.

Payment lene ke leye sabse pehle apko

Selling pr Click krna hai or phir.
Earnings Click krna hai.

Or ab yaha se aap apne payment ko WITHDRAW kr sakte hai.











Post a Comment

0 Comments