Blog me Google custom Search Box kaise Add karte hain : Google Custom Search Box in Hindi

Dosto aaj ki iss post me, mai apko batane ja raha hu ke aap apne blog me Google custom Search Box kaise Add kr sakte hai.




  > Google Custom Search Box 


Google custom search box , Google ki hi ek service hai jo apne blog ya template me laga sakte hai. Ye Apke blog me Search Box ka kaam krta hai. Ye Service bilkul free hai.

Vase to hr kisi template me pehle se hi ek Search Box hota hai lekin agar aap google ke iss Coustom Search Box ko use krte hai or phir apka koi Visiter apke Google Search Box se kuch bhi Search krta hai or Search List me kisi bhi ads pr click krta hai to apko uske Paise milte hai. Jisse apke blog ki income increase ho jayegi.

( Ager Aap Google Search Box me ads dekhana chahate hai to aap apne Search box ko adsense se jod sakte hai ) 

  > Google Custom Search Box Kyu lagaye ?  

Apne Bog ki Rank ko bhadane (Increase) ke liye ye bahut jaruri hai.
Isse aap Paise bhi kama skte hai, or apki icome increase hoti hai.
Visitor ko Post Search krne me bahut aasani hoti hai.

  > Google Custom Search Box Kaise Banaye ?

Blog me Google Custom Search box  Add krne ke liye apko niche likhe Step ko follow krna hai.

 STEP 1 :  Sabse Pehle apko iss Website ko open krna hai https://cse.google.co.in/cse/ or apne G-mail Account se LogIN krna hai.




  STEP 2 :  Ab apko iss Page me kuch Details Bharni hogi 

 1  - Apne Website ya Blog ka URL likhe.
2 -  Ager apka koi Dusra Blog hai to aap usko vaha jarur dale.
3 – Yaha pr apne Blog ki Language select kr le ( Hindi Ya English ).
4 – Yaha pr apne Blog ka Name Likhe.
5 – Orr ab Create kr Click kr de.



 STEP 3 :  Ab apko Control Panel pr Click krna hai.


 STEP 4 :  Ab Apko iska Layout Create krna hai.


1 – Sabse pehle aap Look and feel pr click kare.

2 – Ab aap LayOut Select kare.
3 – Ab aap Save & Get Code pr click kare


 STEP 5 :  Ab aap iss code ko Copy kr ly or apne Blog ya Website pr dal sakte hai.
  > Google Custom Search Box ko Blog me kaise Add kare ?

  STEP 1 :  Sabse Pehle Apne Blog me logIN ho jaye.
Phir Layout pr Click kare or phir Add a Gadget pr click kare.




 STEP 2 :  Phir HTML/Java Script Select kare


 STEP 3 :  Ab Uss Code ko iss Box me Past kr de or SAVE kr Click kare.


 Ab apko ye Search Box aise Dikhai dega !






Post a Comment

0 Comments