YouTube Video me Subscribe Button Kaise lagaye | How to add Subscribe Button on YouTube Channel


 Dosto agr aap ek YouTube Channel chalate hai to ye post apke liye bahut important hai. Kyuki aaj ki iss post me, mai apko batane ja raha hu ke aap apne YouTube Video me Subscribe Button kaise lga sakte hai.

YouTube Subscribe Button lagane se apke Visitor apke Channel ko bahut aasani se Subscribe kr sakte hai orr ek baar Subscribe button lag jane ke baad apke Channel ke sabhi videos me vo button Automatic lag jayega. Iss Subscribe Button ko apne channel me add krna bahut aasan hai uske liye apko niche likhe Steps ko follow krna hai.




 STEPS 1 :   Sabse pehle apko apne YouTube Channel me Log IN krna hai or uske baad apko Right Side me bane Apne YouTube Channel ke icon pr click krna hai or phr apko Creator Studio pr click krna hai.


 STEP 2 :   Ab apko Channel pr click krna hai or uske baad Branding pr Click krna hai. Jaise hi aap Branding pr click karege too apko samne ek option aayega Add a watermark to apko uss pr click krna hai.




 STEP 3 :  Ab Apke apke Samne ek New Pop Up open ho jayega or apko yaha ek option milega Choose File too apko yaha click krna hai or SUBSCRIBE ka ek photo select krna hai or phr Save pr click krna hai. Dheyan rahe ke apka photo PNG ya GIF me ho or uska size 1MB se jayada na ho.




 STEP 4 :  Ab YouTube apko dikhayega ke apka Subscribe Button kaisa dikh raha hai. Too apko Save pr click krna hai.


Ab Apke YouTube Channel pr Subscribe button show hone lagega.







Post a Comment

0 Comments