Hostgator Affiliate Program Kya hai ? Hostgator Affiliate Program kaise kaam karata hai ?


 > Hostgator Affiliate Program Kya hai ? 
Hostgator Godady ki tarah ek website hai, Jo apko Domain Name or Web Hosting provide krta hai. Ye website bahut teji se aage badh rahi hai or apne dekha hoga ke hr koi Hostgator ka Ad apne Blog or Website pr kar rahe hai.
Hostgator ne apne user ko badhne ke liye Hostgator Affiliate Program lunch kiya hai iss program me agr koi user apke Affiliate link se, apne Website ya Blog ke liye Hosting kharedta hai to apko uske Rs. 3,000/- tak milte hai.  Agr apke Website pr acha Trafic hai to aap iss website se bahut jayada income kr sakte hai.

 > Hostgator Affiliate Program kaise kaam karata hai ? 
Hostgator se paise kamane ke liye apko iss pr apna account banana hoga or phir aap koi bhi Hostgator ka Banner Select krke usko apne blog me laga sakte hai or jb koi bhi user apke banner pr click krke Hosting kharedta hai to apko uske commission(percentage) milta hai. Jab Bhi Apke Account me Rs.3,000/- ho jate hai to aap apne Payment ko Recive kr sakte hai. Aap apne Payment ko PayPal ya Bank cheque se le sakte hai.
 > Hostgator Affiliate Program  me apna Account kaise Banate hai ? 

 STEP 1 : Apko sabse pehle iss Website ko Open krna hoga . Click Here -       affiliates.hostgator.in
STEP 2 : Ab apko Affiliates pr Click krna hai.


STEP 3 : Click on Sign Up



 STEP 4 : Ab apko Yaha pr sab details sahi bharni hai.



 DETAILS 1 :  Please Fill In Your Account Details.

Username - yaha pr apko apne koi bhi name select krna hai , dhayan rahe aap ko bhi name select kare usme apko Space bilkul bhi use nahi krana hai. ( Example - kaisehelp )
Password - Yaha pr apko koi bhi strong password select krna hai.(Password me only letter, number or Underscore hi use hoga)
Password Again - apko dobara apna password yaha enter krna hai.
DETAILS 2 :  Account Information
Email Address  -  Apko yaha pr apni E-mail Id dalni hai.
Company Name - Agr apki koi Campany hai to aap uska name yaha dal de verna N/A likh de.
Cheques Payable To - yaha pr apko apna name likhna hai. Jo name apke Bank Account me hai. 
Website Addres - yaha pr apko apne blog ya website ka name likhna hai ( Example - www.kaisehelp.com )

DETAILS 3 : Personal Information
First Name - apko yaha pr apna pehla name enter krna hai. apko apne name PAN Card ke hesab se dalna hai. yani jo name apke PAN Card pr hai vo hi name Use kare. (Example - Kaise )
Last Name ( As per PAN Card.) - Yaha pr bhi apko apna Last Enter karna hai. Ye bhi apko PAN card ke hesab se dalna hai . ( Example - Help )
Address - yaha pr apko apne ghr ka sahi Address dalna hai. Kyuki ager ap Payment ko Cheque se Recive krte hai to vo cheque apke ghr pr hi aayega.
Additional Address - yaha pr aap apna dusra address enter kr sakte hai.
City - Yaha apni City ka name likhe.
State - yaha apko apne state ka name select krna haia.
Phone Number - yaha pr apko apna mobile number enter krna hai.
Zip Code - yaha pr apko apni city ka Zip code/Pin Code/Post Code dalna hai.  
Country - Yha pr apko apne Country select krne hai. (India)

DETAILS 4 : Terms and Conditions for the Affiliate Marketing Program
Apko yah par Hostgator Affiliate Marketing ki Trems and Conditions mil jayegi, apko usko padhna hai or I have read, understand and agree to the above terms and conditions ke samne vale box ko select krna hai.


DETAILS 5 : User Validation Information
How did you hear about us? - Apko yaha pr Hostgator ko batana hai ke apke Hostgator Affiliate Marketing Program ke bare me kaha se pata chala . Ap yaha pr hamare website ka name likh sakte hai (www.kaisehelp.com) 
Date of Birth (dd/mm/yy) - Apko yaha pr apne Date of Birth Enter krne hai.
PAN No. -  Yaha pr apko apna Pan Card Number Enter krna hai.
Middle Name (as per PAN) - Apko yaha pr apna Pan Card se apna  Milddle Name dalna hai. Agr Middle Name nhi to Aap yaha par N/A Likh sakte hai.
DETAILS 6 : Security Verfication
Apko yaha pr apna niche likha Security Code dalna hai. ye code hr website pr alag hota hai or Page Refresh hone pr bhi change hota rehta hai.
Uske Baad apko Process My Affilate Account Request pr Click krna hai.
or iske baad apka account open ho jayega.

 > Hostgator ka Banner kaise banate hai ? 



 STEP 1 : Click to Manage Account 

 STEP 2 : Click to  Banners

 STEP 3 :  Ab apke samne hr Size ke banner aa jayege. apko jo bhi Banner apne blog me lagana hai, app uss bannes ke Code ko copy kr ke apne blog me add kr ley.

TIPS 
Apne sabhi infomaction sahi dale.
Payment PayPal Account me Recive kare.

Post a Comment

0 Comments