Dosto aaj ka post un logo ke liye bahut khaas hone vala hai jo log Google Images ko apne blog ya YouTube Videos me use krna chahty hai. Kyuki aap sab jante hai ke agr aap google ki images ko apne blog ya YouTube videos me use krte hai to apke blog ( or YouTube Channel) pr Strike lag jate hai.
> Agr strike apke blog pr lagti hai to apka Google Adsense account block ho sakta hai.
> agr ye strike apke YouTube Channel pr lagti hai to apka channel pr 3 strike ke baad apka YouTube channel delete ho jayega or apka Google Adsense Account bhi block Ho sakta hai.
Lekin dosto aaj ke iss post mai me apko bataunga ki aap Google Images ko apne blog / YouTube Videos me kaise use kr sakte hai.
Kya hm Google Images ko use kr sakty hai ?
Vaise to hum Google Images ko use nahi kr sakty or agr use krty hai to hamare account pr strike lag jati hai. Lakin agr hum google ki kuch condition ko follow kare to hum Google Images ko apne blog/Youtube videos me use kr payenege.Google Images ko Blog / YouTube Videos me kaise use karty hai ? Without Copyright issue.
Dosto agr apko Google Image ko use krna hai ( without copyright issue) to apko nichy likhy steps ko follow krna hai.
[ NOTE : in steps ko follow krne ke liye apko pc ya laptop ka use krna hoga. Ya phr aap apne mobile browser ko Desktop site mode pr lagana hoga. ]
STEP 1 : Sabse pehle apko google me images search open krna hai.
STEP 2 : Phr apko 'Tools' pr click krna hai or phr apko 'Usage Rights' pr click krna hai.
Ab apke samne 4 option aayege. Jisme se apko ek option select krna hai or phr aap kisi bhi image ko download kr ke use kr sakty hai.
> Labeled for reuse with modified : iss option ko select krne ke baad aap kese bhi Image ko edit kr ke use kr sakty ho
> Labeled for reuse : iss option ko agr aap select krty hai to aap kisi bhi image ko use to kr sakty hai lekin without edit. Mtlb aap jaisi bhi Image download krty hai apko apne blog / video me vaisi hi use krna hoga.
> Labeled for noncommercial reuse with modified : iss option ko select krne ke baad aap images ko apne blog ya video me use nahi kr sakty. ( agr apka monetize on hai)
> Labeled for noncommercial reuse : iss option ko select krne ke baad aap images ko apne blog ya video me use nahi kr sakty. Pr chahe apka monetize on hai ya off.
Dost me ummid krta hu ki ab aap Google Image ko apne blog / YouTube videos me use kr payenge . Agr apko ye post acha lga ho to isko share krna na bhule. ( Thanks for support me)
1 Comments
Useful sir j
ReplyDelete