Top 10 most useful website | internet ki 10 most useful website | kaisehelp.com


Dosto waise to internet par karodo website hai lekin Unmai Se Hamare liye konsi useful hai Yeh Pata Lagana Kafi Mushkil Hai Lekin is Mushkil Ka Hal karte huye is post Mein Main aapko 10 Asi website ke baare me bataya hai jo Kahi na Kahi aap ke kaam Jarur aa sakti hai.

1. PDF DRIVE 

Dosto agar aap bhi online book pdf Mein download karna chahte hain To ye website aapke liye bahut acchi hai is website se aap market mein aane wali Kisi bhi nai book ko pdf format Mein download kar sakte hain Yeh website bilkul free hai. 《 Link 》

2. Remove Photo Background

Dosto Ye website un logo ke liye bahut jyada useful hai jo bahut jyada photo click Karte Hain to aapne Dekha Hoga Ki Kahi Baar aap ke photo ka background achha nahi aata To Aise mein aap is website ki madad se apne photo ka background 1 click may change kar sakte hain Yahan Par aapko apna background change karne mein sirf 1 second ka time lagta hai yeh Kafi badhiya website hai background ko remove karne ke liye. 《 Link 》

3. Share your text with one link

Dosto agar aap ek Bada paragraph kisi ko share karna chahte hain wo bhi sirf ek link ki madat Se To Yeh website aap ke liye Kafi useful Hone Wali Hai Iss website ki madat se aap apna Sara text  Kisi bhi user Ke Paas ek URL link ki madad se send kar sakte hain Jab Bhi Koi user us link par click Karega To user aapke text ko Badi aasani se copy kar payega.《 Link 》

4. Draw Graph

Dosto agar aap ek student ho ya phir aap ek engineer ya phir programmer Tu Ye website aapke liye bahut Kamaal Ke Hone Wali Hai Kyunki aap Jante Hain Ki graph drawing Ki Zaroorat aap ko kabhi bhi padh sakti hai To Aise mein aap sirf ek website ki madad se apne graph ko aasani se draw kar sakte hain. 《 Link 》

5. Learn website develop

Dosto agar aap bhi Ek website ki madad se website developed karna sikhna chahte hain Jani up HTML, CSS ect. online sikhna Chahte Hain tu yeh website Kafi popular aur Kamal Ki Hai Aap is website ki madad se bahut hi jaldi website develop karna Sikh sakte hain is website main aapko live demo ka bhi option Mil Jata Hai jis ki madad se aap apni coding Ka Magic live dekh sakte hain. 《 Link 》

6. Speech to Text ( all language )

Dosto Agar aapko bhi tax Likhne Mein bahut Alukkas Aata Hai tu yeh website aapko Kafi Pasand Aayegi Kyunki is website main aap bol kar apni speech ko text me convert kar sakte hain aur iss mein aapko Hindi, English ect. Sabhi language mil Jati Hai Janse aap Hindi me bhi apni speech ko text me convert kr sakte hain. 《 Link 》

7. Temporally Email

Dosto aapne dekha hoga ki Kabhi Na Kabhi aapko life mein Aisi website ko bhi open karna hota hai Jisko aap Dobara use bhi nahi karenge lekin Unhe mein se kuch website Aisi hoti hai jinko use Karne Se Pehle Aap Ko wahan par signup karna hota hai aur apni email id enter kar nahi hoti hai lekin Baad Mein Woh advertise ko aapki email par bhejte Rehte Hain Jis Se aap kafi Pareshan ho Jate Hain to Dosto Is website ki madad se aap 10 minute ke liye email ID create kar sakte hain aur kisi bhi website par signup kar sakte hain Yahan tak ki agar uspe verification code bhi aata hai to aap usko bhi is website ki email par access kar sakte hain. 《 Link 》

8. Learn language

Dosto agar aap bhi Ghar Baithe Kisi bhi language ko sikhna chahte hain tu yeh website aap ke liye Kafi useful Hone Wali Hai is site ki madat se aap Kisi bhi language ko Badi aasani se seekh sakte hain. 《 Link 》

9. Check your internet speed

Dosto Agar aap bhi Bina Kisi software ke apne mobile par chal rahe internet ki speed ko check karna chahte hain tu yeh website aapke liye bahut jyada useful Hone Wali Hai is website ki madad se aap internet ki speed ko Apne browser mein hai check kar sakte hain. 《 Link 》

10. Tablet details

Dosto Ye website medical student or public ke liye bahut hi jyada useful Hai Kyuki is website ki madad se aap Kisi bhi tablet ke baare mein detail Mein Jaan sakte hain aur Yahan Par Aapko Hindi language ka option Bhi Mil Jata Hai Yahan Par agar aap Kisi bhi tablet ko search Karte hi to aap ko uski Puri Jankari mil jati hai ke ye tablet aapko kahan fayda de sakti hai aur kaha aap ko nuksaan kar sakti hai. 《 Link 》
Dost Main Umeed karta hoon Yeh post aapke liye Kafi useful Rahi hogi toh is post ko Jyada Se Jyada logo Tak share Kare Taki Wo bhi in website ka Labh Utha sake
( Thanks for support )

Post a Comment

5 Comments